Wednesday, June 6, 2007

Transliterated Urdu Poems

I will be moving on from the present company soon... InshaAllah!
Pasting some stuff which I had collected over period of time and saved on my disk.

See, I take "knowledge transfer" seriously :-)

Tahzeeb, Tammaddun, Tasawwuf Kalaam, bootaan-e-Baatil ke Pujari tamaam.
Haqeeta khuraafaat me kho gaeee, ye Ummat Riwaayaat me kho gaeee.
- Iqbal.

Saaraa Jahaan Hai Hamaaraa
Cheen-o-Arab hamara, Hindostaa hamara
Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara
Tawheed ki amanat senon main hai hamarey
Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara
Duniya kay but kadon main, pehla wo ghar Khuda ka
Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara
Baatil say dabney waley, aey Asmaan! nahin hum
Sou baar kar chuka hai Tu imtihan hamara
Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (SAWS) apna
Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara
Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya
Hota hai jada paima, phir karwan hamara
-Iqbal

******Married Folks read and impress your Spouse******
******Bachelors, save for later use :-)********************

"der ke baad"

Niyat-e-shawq bhar na jaye kaheetu bhi dil se utar na jaye kahee
aaj dekha hai tujh ko der ke baadaj ka din guzar na jaye kahee

-Urdu Mag

"Dukh haste hai"
jab ankh me aasu aate haijab dil ki dhadkan roti hai
jab door kahee sannate me ek chaap si koi hoti hai
dukh haste hai, dukh haste hai...
jab door koi koyal bolejab bahri mowje mil jaye
jab ped se patta gir jaye
jab man hi man me aksar ham subah shaam sulagte hai
dukh haste hai, dukh haste hai...
jab raat ke saye dhalte hai
jab panchchi pankh andhere hi ghar laut ke aayaa karte haiphir ham jaise deewane log pyaar ki aag me jalte hai
dukh haste hai, dukh haste hai...
jab takiya aksar raato ko raazo ka bojh uthate hai,jab pichli yado ka sadma akho ka wazan ghatate hai,
dukh haste hai, dukh haste hai...

-Urdu Mag

No comments: